Pages

Subscribe:

Ads 468x60px

Tuesday, 1 May 2012

Iqtibas from Aks by Umera Ahmed


Chirya bohat dair tak nam aankhon k saath us aainay mai Aks dekhti rahi.Aakhri baar uss nay yahan kharay hokar iss Aainay mai Aik Pink frock wali Aik Reshmi baalon wali Sayaah Chamakdaar aankhon wali Aik pari Ko Dekha tha,woh haadsay say Aik shaam pehlay ki baat thi.Uss din use nay apna Doodh ka teesra daant ganwaya tha aur iss aainay mai woh aur Aibak Aik doosray Ko hanstay dekh kar behaal horahay thay.Woh janti thi Aibak uss Kay daant ka khala dekh dekh kar hans raha tha laiken woh Aibak Ko iss tarah hansta dekh kar apnay daanton ki Muzhika Khaiz halat bhool gayi thi...


An Excerpt From:
Aks

Jannat Jay Pattay


" Ek baat Puchoon ? "
" Poochiye ! " ab k uski awaz main ajnabiat dar aae thi.
"Kabhi koi Aapke liye JANNAT KAY PATTEY tor ker laya hai ? "
"Hum dunya walun ne Jannatein kahan dekhi hain Major Ahmed ! " uske chehre pe talkhi raqam thi.
"Tabhi to hum dunya waley jantey nahi k Jannat k pattey kese dikhte hain, Kabhi koi aapko laa de to unhe thaam lijeaga.. voh aapko Ruswa nhi hone denge"
uske chehre ki takhi sukoot main dhal gae.. voh theher si gae, dhundhli diwaar abhi tak uske samne thi, koun tha uske paar ???

A Heart-touching Iqtibas from Mushaf


Mehmal k is Jawab ne Mujhe buht Rulaya :'( :(


" Aapne keh lia jo Aapne kehna tha ? "
" Han."
" Kya ab Aap Meri sunaingi ? " uska lehja sapaat tha.
" Han."
" To phir suniye! Aaozu billahi minashae tuanir raijeem."
usne taauz parha to Farishtey ne zara ulajh ker usey dekha. mager vo ruki nahi thi, buht dheemai, mager mazboot lehjey mai vo Arbi mai usey kuch sunane lagi thi. wo Arbi jo un dono ki samjh mai ati thi.


" Aur isi tarah Hum khol khol ker Ayat bayan kerte hain, shayad k wo palat aaen, shayad k wo palat aaen... in logun ko us Shakhs ki khaber parh ker sunao jisko Humne apni Ayaat di theen. jisko Humne Apni " Ayaat " di theen. Phir wo unse Nikal Bhaaga To uske peechey Shaitan lag gaya, To vo Gumraho'n mai se hogaya...
To wo gumraho'n mai se hogaya." uski awaz buland horahi thi.
" or Ager Hum chahtey to usey inhi Ayaat k sath bulandi ata kertey, Lekin vo Zameen ki taraf Jhuk gaya or usney apni khuahishaat ki pairwi ki. To uski misaal Kutte jesi hai...to uski misaal Kutte jesi hai....ager Tum usper hamla karo to wo zuban baher nikalta hai, ya tum usko chordo to bhi vo zuban baher nikalta hai" 


"Khamosh hojao! khuda k liye khamosh hojao." usney tarap ker Mehmal k moun per hath rakhna chaha, uska dupatta Kandhun se phisal gaya tha, khuley baal shanu per agae they.

Quran E Paak- An Iqtibas from Mushaf


" Quran un sab cheezun se behter hai jinhe Log jama ker rahe hain. "
uska Dil rodia tha. kese dheetae se usne us siyahfaam larki ko Mus'haf wapis kia tha. us samey uski awaaz mai kesi be-rukhi thi. TV pe azaan lagti, Tilawat hoti to wo channel badal diya kerti thi. sipaareh parhna kitna kathan lagta tha or Fajar to siwae papers k, usne kabhi na parhi thi. ab vohi Fajar parhne k liye voh Farishtey k braber khari hogae.

Iqtibas from Mus'haf


" Bilqees aaj kounsa din hai ? "
ek dum usey khayal aya to usey pukara.
" JUMMA hai "
" oh Acha! " usey yaad aya' aaj to usey " Surah Kahf " parhni thi jane vo kese bhool gae.

Iqtibas from Mus'haf


"Or bhalai or burai baraber nahi hosakteen so (burai ko) is tariqe se door karo jo behtareen ho , phir daftan vo shaks jiske or tumhare darmiyan adawat hai yun hojaega goya tumhara Hameem (gehra jaa'n nisaar dost) ho"
usne uchambhe se in Ayaat ko dekha' kya ab bhi koi umeed thi k vo shakhs uska Hameem (gehra jaa'n nisaar dost) ban sakta hai? ab to kuch baqi na raha tha sab khatam hogaya usne in ayat ko dubara parha-
.....
"burai ko is tariqe se door karo jo behtareen ho"
Ghaans pe TAIMOOR baitha tha...
wo shakhs Humaiyun nhi tha' nhi tha' nhi tha....
vo shakhs TAIMOOR tha- uska beta' uska khoon' uske jism ka tukra' kya vo uska jaa'n nisar dost ban sakta tha ' kya waqae ?? kya wo aesi qismat wali hai ?

Iqtibas from Mus'haf

Ya Allah! Mai Aapki Bandi hun or Aapke bande ki Beti hun or Apki Bandi ki beti hun. Meri Peshani Aapke Qabu mai hai, mere Haq mai aapka hukum jari hai,Aapka faisla mere bare mai Insaaf per Mubni hai. Mai aapse sawal kerti hun Aapke her us naam k waastey se jo aapne apne liye pasand kiya ya apni kitaab mai utara , ya apni makhlooq mai se kisi ko sikhaya ya apne Ilme Ghaib mai se aapne usko ikhtiyaar ker rakha hai, is baat ko k aap Quran Azeem ko Mere Dil ki Bahaar or meri Aankhun ka Noor bnadain or Mere Fiker or Ghum ko le jane ka Zarya Banadain "


Mashaf by Nemrah Ahmed, July- 2011- Khawateen Digest)